Rata yad edge mazegar da kali
The home of urdu poetry, urdu shayari, sad shayari, urdu sms, love poetry, sad poetry and hindi shayaris.
Friday, 2 October 2015
Monday, 21 September 2015
Top Class Urdu Ghazal
Kabhi ruk gaye
Kabhi chal diye
Kabi chalte chalte bhatak gaye,
Yun he umr sari guzaar di yun he zindagi k sitam sahay.
Kabhi neend mein
Kabhi hosh mein
Tu jahan mili
Tujhe dekh kr,
Na nazar mili
Na zuban hili
Yunhi sar jhuka k guzar gaye.
Kabhi zulf per
Kabhi chashm per
Kabhi tere haseen wujood per,
Jo pasand thay
Meri kitab mein
Wo shair sarey bikhar gaye.
Mujhe yaad hai
Kabhi aik thay
Magar aaj hum hain juda juda,
Wo juda huay
To sanwr gaye
Hum juda huay
To bikhar gaye.
Kabhi arsh per
Kabhi farsh per
Kabhi unke darr
Kabhi darbadar,
Ghum-E-Aashiqi
Tera shukriya
Hm kahan kahan se guzar gaye.
Thursday, 17 September 2015
Nadan Dil
Kitab e taqdeer se kya shikwah ae dil e nadan
Jab har shay ne mitt jana hay tu phir khwahish kaisi ..
Tuesday, 18 August 2015
Monday, 6 July 2015
Thursday, 2 July 2015
Subscribe to:
Posts (Atom)









